Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kamron mein chhupne ke din hain aur na barahana raaten hain

Shahzad Ahmad

kamron mein chhupne ke din hain aur na barahana raaten hain

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    kamroñ meñ chhupne ke din haiñ aur na barahana rāteñ haiñ

    ab aapas meñ karne vaalī aur bahut bāteñ haiñ

    lazzat aur yaktā.ī ik jhoñkā aayā biit gayā

    phir se apne apne dukh haiñ apnī apnī zāteñ haiñ

    qurbat lazzat jaise bārish meñ patthar rakkhā ho

    andar sahrā jaisā mausam aur bāhar barsāteñ haiñ

    mom nāzuk paikar us haath lage aur ghul jaa.e

    mere jism meñ jalne vaalī ḳhvāhish sauġhāteñ haiñ

    aaj mile to yuuñ lagtā hai aaj ke ba.ad nahīñ milnā

    saañs bhī lene nahīñ fursat ukhḌī ukhḌī bāteñ haiñ

    āḳhir koī paḌh legā rusvā.ī tahrīreñ

    ye mere chehre lakīreñ kuchh jīteñ kuchh māteñ haiñ

    ab jin ko taḳhlīq ke fan da.avā hai 'shahzād' bahut

    TuuTe hue qalam haiñ un ke sūkhī huī davāteñ haiñ

    kamron mein chhupne ke din hain aur na barahana raaten hain

    ab aapas mein karne wali aur bahut si baaten hain

    lazzat aur yaktai ka ek jhonka aaya bit gaya

    phir se apne apne dukh hain apni apni zaten hain

    qurbat ki lazzat jaise barish mein patthar rakkha ho

    andar sahra jaisa mausam aur bahar barsaten hain

    mom sa nazuk paikar us ka hath lage aur ghul jae

    mere jism mein jalne wali KHwahish ki saughaten hain

    aaj mile to yun lagta hai aaj ke baad nahin milna

    sans bhi lene ki nahin fursat ukhDi ukhDi baaten hain

    aaKHir koi paDh hi lega ruswai ki tahriren

    ye mere chehre ki lakiren kuchh jiten kuchh maten hain

    ab jin ko taKHliq ke fan ka dawa hai 'shahzad' bahut

    TuTe hue qalam hain un ke sukhi hui dawaten hain

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 562)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now