Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kanar-e-dariya junun-e-tufan har ek gauhar ki aab main hun

Jai Prakash Ghafil

kanar-e-dariya junun-e-tufan har ek gauhar ki aab main hun

Jai Prakash Ghafil

MORE BYJai Prakash Ghafil

    kanār-e-dariyā junūn-e-tūfāñ har ek gauhar aab maiñ huuñ

    baġhair mere sabhī haiñ paanī ki maujoñ iztirāb maiñ huuñ

    ye vaqt be-karāñ samundar maiñ us had tak pahuñch na paayā

    girā thā sāhil pe TuuT kar jo huā thā jo ġharq-e-āb maiñ huuñ

    na jaane kyā hai ki merī hastī kisī āñkhoñ mai-kada hai

    subū bhī maiñ huuñ huuñ maiñ saaqī ayāġh maiñ huuñ sharāb maiñ huuñ

    tire karam kiran ne mujh ko uThāyā pastī se āsmāñ par

    kabhī ye shak āftāb maiñ huuñ kabhī gumāñ māhtāb maiñ huuñ

    jahāñ nahīñ thā vahāñ bhī maiñ thā dekh kar bhī na dekh paayā

    kalām bhī maiñ sukūt bhī maiñ savāl maiñ huuñ javāb maiñ huuñ

    usī ne har shab sub.h hai har ik diye vo raushnī hai

    kabhī mujassam bhī ho ke kah de ki dekh terā ḳhvāb maiñ huuñ

    kanar-e-dariya junun-e-tufan har ek gauhar ki aab main hun

    baghair mere sabhi hain pani ki maujon ka iztirab main hun

    ye waqt ka be-karan samundar main us ki had tak pahunch na paya

    gira tha sahil pe TuT kar jo hua tha jo gharq-e-ab main hun

    na jaane kya hai ki meri hasti kisi ki aankhon ka mai-kada hai

    subu bhi main hun hun main hi saqi ayagh main hun sharab main hun

    tere karam ki kiran ne mujh ko uThaya pasti se aasman par

    kabhi ye shak aaftab main hun kabhi guman mahtab main hun

    jahan nahin tha wahan bhi main tha tu dekh kar bhi na dekh paya

    kalam bhi main sukut bhi main sawal main hun jawab main hun

    usi ne har shab ki subh ki hai har ek diye ki wo raushni hai

    kabhi mujassam bhi ho ke kah de ki dekh tera hi KHwab main hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now