Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar ke aazad har ek shahpar-e-bulbul katra

Shah Naseer

kar ke aazad har ek shahpar-e-bulbul katra

Shah Naseer

MORE BYShah Naseer

    kar ke āzād har ik shahpar-e-bulbul katrā

    aaj sayyād ne ek aur nayā gul katrā

    jeb-katroñ meñ hai mash.hūr sabā-bādī chor

    sub.h ġhunche jo kiisa ba-ta.ammul katrā

    dekh Tik apne garebān meñ muñh Daal ke shaiḳh

    hirs ke haath se dāmān-e-tavakkul katrā

    panja-e-mehr banā shāna-e-mashshāta-e-sub.h

    mah-jabīñ ne juuñ rishta-e-kākul katrā

    leñge murġhān-e-chaman ḳhāk-e-gulistāñ sabaq

    bāġhbāñ jab ki ḳhizāñ ne varaq-e-gul katrā

    kis qadar tez hai miqrāz-e-suḳhan terī 'nasīr'

    gosh-e-hosh o ḳhirad-e-tālib-e-āmul katrā

    kar ke aazad har ek shahpar-e-bulbul katra

    aaj sayyaad ne ek aur naya gul katra

    jeb-katron mein hai mashhur saba-baadi chor

    subh ghunche ka jo kisa ba-tammul katra

    dekh Tik apne gareban mein munh Dal ke shaiKH

    hirs ke hath se daman-e-tawakkul katra

    panja-e-mehr bana shana-e-mashshata-e-subh

    mah-jabin tu ne jun hi rishta-e-kakul katra

    lenge murghan-e-chaman KHak-e-gulistan ka sabaq

    baghban jab ki KHizan ne waraq-e-gul katra

    kis qadar tez hai miqraaz-e-suKHan teri 'nasir'

    gosh-e-hosh o KHirad-e-talib-e-amul katra

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now