kar ke dil ko shikar aankhon mein
kar ke dil ko shikar aankhon mein
Sayyad Mohammad Meer Asar
MORE BYSayyad Mohammad Meer Asar
kar ke dil ko shikār āñkhoñ meñ
ghar kare hai tū yaar āñkhoñ meñ
chashm-e-bad duur ho nazar na kahīñ
hai nipaT hī bahār āñkhoñ meñ
aur sab chehra-bāziyoñ ke sivā
ishva hai sad-hazār āñkhoñ meñ
kyā kahūñ kuchh kahī nahīñ jaatī
bāteñ haiñ be-shumār āñkhoñ meñ
jis ghaḌī ghūrte ho ġhussa se
nikle paḌtā hai pyaar āñkhoñ meñ
tīr-e-mizhgāñ diloñ ke paar hue
hai ye guzar o guzār āñkhoñ meñ
yaar tere liye ye gauhar-e-ashk
the barā-e-nisār āñkhoñ meñ
ashk-e-ḳhūnīñ ke ye nahīñ qatre
ye rahe haiñ sharār āñkhoñ meñ
dekhnā Tuk 'asar' se nazreñ milā
kyā hue the qarār āñkhoñ meñ
kar ke dil ko shikar aankhon mein
ghar kare hai tu yar aankhon mein
chashm-e-bad dur ho nazar na kahin
hai nipaT hi bahaar aankhon mein
aur sab chehra-baziyon ke siwa
ishwa hai sad-hazar aankhon mein
kya kahun kuchh kahi nahin jati
baaten hain be-shumar aankhon mein
jis ghaDi ghurte ho ghussa se
nikle paDta hai pyar aankhon mein
tir-e-mizhgan dilon ke par hue
hai ye guzar o guzar aankhon mein
yar tere liye ye gauhar-e-ashk
the bara-e-nisar aankhon mein
ashk-e-KHunin ke ye nahin qatre
ye rahe hain sharar aankhon mein
dekhna Tuk 'asar' se nazren mila
kya hue the qarar aankhon mein
- Deewan-e-asar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.