Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar sakta hai agar wo sawalat gol-mol

Gul Faraz

kar sakta hai agar wo sawalat gol-mol

Gul Faraz

MORE BYGul Faraz

    kar saktā hai agar vo savālāt gol-mol

    to maiñ bhī dūñgā us ko javābāt gol-mol

    kuchh khol kar kahā to musībat gale paḌī

    ab is liye maiñ kartā huuñ har baat gol-mol

    us ne mire irādoñ ko to bhāñp liyā

    aur kar gayā hai kaise mulāqāt gol-mol

    andāza baaqī chīzoñ phir ḳhud kījiye

    nāzuk kalā.ī gaal ġhazab haath gol-mol

    lāhaq nahīñ huā abhī tak ham ko vo maraz

    filhāl to haiñ us alāmāt gol-mol

    anjām-e-kār honā hai ib.hām yahāñ

    jis tarah ho rahī haiñ shurūāt gol-mol

    inkār bhī nahīñ thā vo iqrār bhī nahīñ

    us mo.āmla thā mire saath gol-mol

    vāzeh surāġh haath nahīñ aaya koī bhī

    bas thoḌe se mile haiñ nishānāt gol-mol

    kar sakta hai agar wo sawalat gol-mol

    to main bhi dunga us ko jawabaat gol-mol

    kuchh khol kar kaha to musibat gale paDi

    ab is liye main karta hun har baat gol-mol

    us ne mere iradon ko to bhanp hi liya

    aur kar gaya hai kaise mulaqat gol-mol

    andaza baqi chizon ka phir KHud hi kijiye

    nazuk kalai gal ghazab hath gol-mol

    lahaq nahin hua abhi tak hum ko wo maraz

    filhaal to hain us ki alamat gol-mol

    anjam-e-kar hona hai ibham hi yahan

    jis tarah ho rahi hain shuruat gol-mol

    inkar bhi nahin tha wo iqrar bhi nahin

    us ka moamla tha mere sath gol-mol

    wazeh suragh hath nahin aaya koi bhi

    bas thoDe se mile hain nishanat gol-mol

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now