karam ke nam pe barbaad kar diya jae
karam ke naam pe barbād kar diyā jaa.e
ḳhudī ko toḌ ke āzād kar diyā jaa.e
qadam qadam pe jahannum banāte rahte haiñ
unheñ bhī vāris-e-shaddād kar diyā jaa.e
subūt kuchh to mile aane vaalī nasloñ ko
hameñ bhī shāmil-e-buniyād kar diyā jaa.e
hamāre ghar ko ba-sad-shauq phūñk do 'parvez'
magar javāz bhī ījād kar diyā jaa.e
karam ke nam pe barbaad kar diya jae
KHudi ko toD ke aazad kar diya jae
qadam qadam pe jahannum banate rahte hain
unhen bhi waris-e-shaddad kar diya jae
subut kuchh to mile aane wali naslon ko
hamein bhi shamil-e-buniyaad kar diya jae
hamare ghar ko ba-sad-shauq phunk do 'parwez'
magar jawaz bhi ijad kar diya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.