Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karam-nawazo ne koshish hazar ki hai to kya

Mahmood rae Barelvi

karam-nawazo ne koshish hazar ki hai to kya

Mahmood rae Barelvi

MORE BYMahmood rae Barelvi

    karam-navāzo ne koshish hazār hai to kyā

    mire nasīb meñ rāhat nahīñ likhī hai to kyā

    tavañgarī ho ki iflās chaar din hai

    ye zindagī hai to kyā hai vo zindagī hai to kyā

    abas hai faḳhr sunā kar fasāna-e-aslāf

    vo shakl aaj nahīñ hai kabhī rahī hai to kyā

    jab ek kār-e-numāyāñ na kar sake koī

    to phir hazār baras bhī zindagī hai to kyā

    kareñ hazār jatan rahbarān-e-rāh-e-sulūk

    fazā dushman-e-īmān-o-āgahī hai to kyā

    gañvā daulat-e-uqbā husūl-e-duniyā meñ

    vahāñ ḳhair manā.eñ yahāñ sabhī hai to kyā

    use shikastagī-e-dil pasand hai 'mahmūd'

    shikastagī se na Dariye shikastagī hai to kyā

    karam-nawazo ne koshish hazar ki hai to kya

    mere nasib mein rahat nahin likhi hai to kya

    tawangari ho ki iflas chaar din ki hai

    ye zindagi hai to kya hai wo zindagi hai to kya

    abas hai faKHr suna kar fasana-e-aslaf

    wo shakl aaj nahin hai kabhi rahi hai to kya

    jab ek kar-e-numayan na kar sake koi

    to phir hazar baras ki bhi zindagi hai to kya

    karen hazar jatan rahbaran-e-rah-e-suluk

    faza hi dushman-e-iman-o-agahi hai to kya

    ganwa di daulat-e-uqba husul-e-duniya mein

    wahan ki KHair manaen yahan sabhi hai to kya

    use shikastagi-e-dil pasand hai 'mahmud'

    shikastagi se na Dariye shikastagi hai to kya

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 487)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now