Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karam tera ki soz-e-jawedani le ke aai hun

Najma Tasadduq

karam tera ki soz-e-jawedani le ke aai hun

Najma Tasadduq

MORE BYNajma Tasadduq

    karam terā ki soz-e-jāvedānī le ke aa.ī huuñ

    magar ye kyā ki maiñ ik umr-e-fānī le ke aa.ī huuñ

    ye kis kāfir mahfil hai ki jis meñ nazr karne ko

    maiñ dil dhaḌkaneñ āñkhoñ paanī le ke aa.ī huuñ

    ye duniyā ye ḳhulūs-o-ishq ke rang-āfrīñ naġhme

    bayābāñ meñ gulistāñ kahānī le ke aa.ī huuñ

    bhaḌak kar sho.ala ban jaa.e ki bujh kar raakh ho jaa.e

    havā zad pe sham-e-zindagānī le ke aa.ī huuñ

    agar chāhūñ ye duniyā phūñk Dālūñ apne naġhmoñ se

    ki maiñ sāñsoñ meñ sho.aloñ ravānī le ke aa.ī huuñ

    mirā dil bhī hai mahsūsāt ātish-kada āḳhir

    ajab kyā hai jo zauq-e-sher-ḳhvānī le ke aa.ī huuñ

    ziyā-andoz huuñ ik āsmānī nuur se 'najma'

    zamīñ par chāñd tāroñ javānī le ke aa.ī huuñ

    karam tera ki soz-e-jawedani le ke aai hun

    magar ye kya ki main ek umr-e-fani le ke aai hun

    ye kis kafir ki mahfil hai ki jis mein nazr karne ko

    main dil ki dhaDkanen aankhon ka pani le ke aai hun

    ye duniya ye KHulus-o-ishq ke rang-afrin naghme

    bayaban mein gulistan ki kahani le ke aai hun

    bhaDak kar shoala ban jae ki bujh kar rakh ho jae

    hawa ki zad pe sham-e-zindagani le ke aai hun

    agar chahun ye duniya phunk Dalun apne naghmon se

    ki main sanson mein shoalon ki rawani le ke aai hun

    mera dil bhi hai mahsusat ka aatish-kada aaKHir

    ajab kya hai jo zauq-e-sher-KHwani le ke aai hun

    ziya-andoz hun ek aasmani nur se 'najma'

    zamin par chand taron ki jawani le ke aai hun

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 168)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now