Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karb-e-hasti yun chhupana chahiye

Shan-e-Haider Bebak Amrohvi

karb-e-hasti yun chhupana chahiye

Shan-e-Haider Bebak Amrohvi

MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi

    karb-e-hastī yuuñ chhupānā chāhiye

    ashk kar muskurānā chāhiye

    mustaqil hañsne aadat Daal kar

    jalne vāloñ ko jalānā chāhiye

    aap munsif haiñ to kar deñ faisla

    kyā kisī dil dukhānā chāhiye

    haal par jab bojh ban jaa.e to phir

    apnā maazī bhuul jaanā chāhiye

    kar ke iz.hār-e-tamannā phir koī

    dostoñ ko āzmānā chāhiye

    bil-yaqīñ aahoñ meñ hotā hai asar

    lekin is ko ik zamāna chāhiye

    nit-na.e ilzām sar rakh kar mire

    qatl mere bahānā chāhiye

    sabr ik achchhī alāmat hai magar

    zulm se panja laḌānā chāhiye

    baar haiñ jis par faqat makr-o-fareb

    aisī kashtī Duub jaanā chāhiye

    maslahat zulm ne pahnī naqāb

    ruḳh se ye parda haTānā chāhiye

    manziloñ gar hai tum ko justujū

    ḳhvāb palkoñ par sajānā chāhiye

    pattharoñ shahr hai 'bebāk' ye

    ab alag bastī basānā chāhiye

    karb-e-hasti yun chhupana chahiye

    ashk pi kar muskurana chahiye

    mustaqil hansne ki aadat Dal kar

    jalne walon ko jalana chahiye

    aap munsif hain to kar den faisla

    kya kisi ka dil dukhana chahiye

    haal par jab bojh ban jae to phir

    apna mazi bhul jaana chahiye

    kar ke izhaar-e-tamanna phir koi

    doston ko aazmana chahiye

    bil-yaqin aahon mein hota hai asar

    lekin is ko ek zamana chahiye

    nit-nae ilzam sar rakh kar mere

    qatl ka mere bahana chahiye

    sabr ek achchhi alamat hai magar

    zulm se panja laDana chahiye

    bar hain jis par faqat makr-o-fareb

    aisi kashti Dub jaana chahiye

    maslahat ki zulm ne pahni naqab

    ruKH se ye parda haTana chahiye

    manzilon ki gar hai tum ko justuju

    KHwab palkon par sajaana chahiye

    pattharon ka shahr hai 'bebak' ye

    ab alag basti basana chahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now