karb ki miTTi dard ke pani se ek rasta nikla tha
karb kī miTTī dard ke paanī se ik rasta niklā thā
uupar uupar ret bichhī thī nīche nīche dariyā thā
Thes lagī thī dard huā thā TuuT gayā thā pal bhar meñ
ham ne jis ko dil samjhā mā'lūm huā ki shīsha thā
bhīge bhīge sannāToñ meñ khoyā khoyā sā ik ḳhvāb
sahmī sahmī ḳhāmoshī meñ ḳhauf-zada sā tanhā thā
rāz-e-shikast-o-fat.h meñ haa.il the ādāb-e-sūd-o-ziyāñ
jiit ga.e to duniyā thī aur haar ga.e to saaya thā
apnī gul-tahzīb judā thī apne ḳhār-ādāb judā
phūloñ se dildārī thī to kāñToñ se bhī rishta thā
maazī kī betāb ragoñ meñ dauḌ rahā thā jaane kyā
biitī raat ke ā.īnoñ meñ sab kuchh dhuñdlā dhuñdlā thā
karb ki miTTi dard ke pani se ek rasta nikla tha
upar upar ret bichhi thi niche niche dariya tha
Thes lagi thi dard hua tha TuT gaya tha pal bhar mein
hum ne jis ko dil samjha ma'lum hua ki shisha tha
bhige bhige sannaTon mein khoya khoya sa ek KHwab
sahmi sahmi KHamoshi mein KHauf-zada sa tanha tha
raaz-e-shikast-o-fath mein hail the aadab-e-sud-o-ziyan
jit gae to duniya thi aur haar gae to saya tha
apni gul-tahzib juda thi apne KHar-adab juda
phulon se dildari thi to kanTon se bhi rishta tha
mazi ki betab ragon mein dauD raha tha jaane kya
biti raat ke aainon mein sab kuchh dhundla dhundla tha
- Book : Ishq (Pg. 125)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.