Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karb wahshat uljhanen aur itni tanhai ki bas

Hamdoon Usmani

karb wahshat uljhanen aur itni tanhai ki bas

Hamdoon Usmani

MORE BYHamdoon Usmani

    karb vahshat uljhaneñ aur itnī tanhā.ī ki bas

    jaane kyuuñ taqdīr ne aisī añgḌā.ī ki bas

    jab kabhī bhūle se bhī ā.īna dekhā tere ba.ad

    apnī sūrat meñ vo sūrat nazar aa.ī ki bas

    toḌne jab bhī chalā zindān-e-āb-o-gil ko maiñ

    jānī-pahchānī huī āvāz ik aa.ī ki bas

    chilchilātī dhuup ġham hādsoñ ke sā.ebāñ

    soch taptā ye sahrā aur ye purvā.ī ki bas

    kaash nā-bīnā rahtā is muqār-ḳhāna meñ

    tohfatan duniyā ne hai aisī bīnā.ī ki bas

    nochtī kab tak raheñgī yuuñ barahna ḳhvāhisheñ

    tā-ba-kai hotī rahegī aisī rusvā.ī ki bas

    maiñ huuñ ai 'hamdūn' ik zinda giraftār-e-lahad

    apnī taqdīr se Thokar vo hai khaa.ī ki bas

    karb wahshat uljhanen aur itni tanhai ki bas

    jaane kyun taqdir ne li aisi angDai ki bas

    jab kabhi bhule se bhi aaina dekha tere baad

    apni hi surat mein wo surat nazar aai ki bas

    toDne jab bhi chala zindan-e-ab-o-gil ko main

    jaani-pahchani hui aawaz ek aai ki bas

    chilchilati dhup gham ki hadson ke saeban

    soch ka tapta ye sahra aur ye purwai ki bas

    kash na-bina hi rahta is muqar-KHana mein

    tohfatan duniya ne di hai aisi binai ki bas

    nochti kab tak rahengi yun barahna KHwahishen

    ta-ba-kai hoti rahegi aisi ruswai ki bas

    main hun ai 'hamdun' ek zinda giraftar-e-lahad

    apni hi taqdir se Thokar wo hai khai ki bas

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 614)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now