Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karne do agar qattal-e-jahan talwar ki baaten karte hain

Shakeel Badayuni

karne do agar qattal-e-jahan talwar ki baaten karte hain

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    karne do agar qattāl-e-jahāñ talvār bāteñ karte haiñ

    arzāñ nahīñ hotā un lahū jo pyaar bāteñ karte haiñ

    ye aish-o-tarab ke matvāle be-kār bāteñ karte haiñ

    paa.el ke ġhamoñ ilm nahīñ jhankār bāteñ karte haiñ

    nā-haq hai havas ke bandoñ ko nazzāra-e-fitrat da.avā

    āñkhoñ meñ nahīñ hai bīnā.ī dīdār bāteñ karte haiñ

    ġham meñ bhī rahā ehsās-e-tarab dekho to hamārī nādānī

    vīrāne meñ saarī umr kaTī gulzār bāteñ karte haiñ

    be-naqd-e-amal jannat talab kyā shai haiñ janāb-e-vā.iz bhī

    muTThī meñ nahīñ haiñ dām-o-diram bāzār bāteñ karte haiñ

    kahte haiñ unhīñ ko dushman-e-dil hai naam usī nāseh bhī

    vo log jo rah kar sāhil par mañjdhār bāteñ karte haiñ

    pahuñche haiñ jo apnī manzil par un ko to nahīñ kuchh nāz-e-safar

    chalne jinheñ maqdūr nahīñ raftār bāteñ karte haiñ

    ye ahl-e-qalam ye ahl-e-hunar dekho to 'shakīl' in sab ke jigar

    fāqoñ se haiñ dil murjhā.e sū-e-dār bāteñ karte haiñ

    karne do agar qattal-e-jahan talwar ki baaten karte hain

    arzan nahin hota un ka lahu jo pyar ki baaten karte hain

    ye aish-o-tarab ke matwale be-kar ki baaten karte hain

    pael ke ghamon ka ilm nahin jhankar ki baaten karte hain

    na-haq hai hawas ke bandon ko nazzara-e-fitrat ka dawa

    aankhon mein nahin hai binai didar ki baaten karte hain

    gham mein bhi raha ehsas-e-tarab dekho to hamari nadani

    virane mein sari umr kaTi gulzar ki baaten karte hain

    be-naqd-e-amal jannat ki talab kya shai hain janab-e-waiz bhi

    muTThi mein nahin hain dam-o-diram bazar ki baaten karte hain

    kahte hain unhin ko dushman-e-dil hai nam usi ka naseh bhi

    wo log jo rah kar sahil par manjdhaar ki baaten karte hain

    pahunche hain jo apni manzil par un ko to nahin kuchh naz-e-safar

    chalne ka jinhen maqdur nahin raftar ki baaten karte hain

    ye ahl-e-qalam ye ahl-e-hunar dekho to 'shakil' in sab ke jigar

    faqon se hain dil murjhae su-e-dar ki baaten karte hain

    Source:

    Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 627)

    • Author: Shakiil Badaayuuni
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now