karne laga hai koi hifazat janab ki
karne lagā hai koī hifāzat janāb kī
ūñchī banī hai jab se 'imārat janāb kī
insāf kaise hogā bhalā aap sochiye
ḳhālī hai 'adl hī se 'adālat janāb kī
ḳhud meñ magan maiñ rahtā thā aisā bhī vaqt thā
paḌtī nahīñ thī mujh ko zarūrat janāb kī
aisī musavvirī hai suḳhan meñ ki Dhaal deñ
ham ek ek she'r meñ sūrat janāb kī
karne laga hai koi hifazat janab ki
unchi bani hai jab se 'imarat janab ki
insaf kaise hoga bhala aap sochiye
KHali hai 'adl hi se 'adalat janab ki
KHud mein magan main rahta tha aisa bhi waqt tha
paDti nahin thi mujh ko zarurat janab ki
aisi musawwiri hai suKHan mein ki Dhaal den
hum ek ek she'r mein surat janab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.