Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karo bhi baat na mujhse udas logon ki

Hina Rizwi

karo bhi baat na mujhse udas logon ki

Hina Rizwi

MORE BYHina Rizwi

    karo bhī baat na mujh se udaas logoñ

    mujhe Darātī hai āñkhoñ meñ yaas logoñ

    kisī ke lahje talḳhī kisī sard nazar

    hai jam.a dil meñ mire ye asaas logoñ

    chalā na ḳhāroñ pe kuchh bas to gul masal Daale

    nikal rahī hai ab aise bhaḌās logoñ

    mire janāze ko bas chaar log kaafī haiñ

    kisī ko hogī zarūrat pachās logoñ

    nazar haTī nahīñ apne aks se un

    ajiib baat hai ye ḳhush-libās logoñ

    nikal aatā hai ho kar ġhurūb phir sūraj

    tabhī to mar nahīñ paatī hai aas logoñ

    samajh meñ aa ga.ī duniyā bhī zindagī bhī 'hinā'

    nigāh jab se milī ġham-shanās logoñ

    karo bhi baat na mujh se udas logon ki

    mujhe Daraati hai aankhon mein yas logon ki

    kisi ke lahje ki talKHi kisi ki sard nazar

    hai jama dil mein mere ye asas logon ki

    chala na KHaron pe kuchh bas to gul masal Dale

    nikal rahi hai ab aise bhaDas logon ki

    mere janaze ko bas chaar log kafi hain

    kisi ko hogi zarurat pachas logon ki

    nazar haTi hi nahin apne aks se un ki

    ajib baat hai ye KHush-libas logon ki

    nikal hi aata hai ho kar ghurub phir suraj

    tabhi to mar nahin pati hai aas logon ki

    samajh mein aa gai duniya bhi zindagi bhi 'hina'

    nigah jab se mili gham-shanas logon ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now