Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karun bayan agar uski bewafai ka

Bartar Madrasi

karun bayan agar uski bewafai ka

Bartar Madrasi

MORE BYBartar Madrasi

    karūñ bayān agar us bevafā.ī

    zabāñ se naam na le koī āshnā.ī

    na ishva-sāzī na ġhamze na naaz phūloñ meñ

    hai saada husn meñ andāz dilrubā.ī

    badan se jaan nikaltī hai ye ḳhabar de kar

    kabhī hai vasl mausam kabhī judā.ī

    huā halāk jo hābīl to kiyā kis ne

    shurūa-e-dahr se qātil hai bhaa.ī bhaa.ī

    habāb sat.h pe aate phuuT jaate haiñ

    jigar-ḳharāsh hai anjām ḳhud-numā.ī

    jahāñ meñ koī kisī ḳhabar nahīñ letā

    sunā.ūñ haal kise apnī be-navā.ī

    dikhā ke aa.ina kah do ki maiñ muqābil bhī

    butoñ ke muñh se ho da.avā agar ḳhudā.ī

    karun bayan agar us ki bewafai ka

    zaban se nam na le koi aashnai ka

    na ishwa-sazi na ghamze na naz phulon mein

    hai sada husn mein andaz dilrubai ka

    badan se jaan nikalti hai ye KHabar de kar

    kabhi hai wasl ka mausam kabhi judai ka

    hua halak jo habil to kiya kis ne

    shurua-e-dahr se qatil hai bhai bhai ka

    habab sath pe aate hi phuT jate hain

    jigar-KHarash hai anjam KHud-numai ka

    jahan mein koi kisi ki KHabar nahin leta

    sunaun haal kise apni be-nawai ka

    dikha ke aaina kah do ki main muqabil bhi

    buton ke munh se ho dawa agar KHudai ka

    Source:

    Aab-e-Zam Zam (Pg. 150)

    • Author: Bartar Madrasi
      • Publisher: Gauhar Press, Madras
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now