Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kasak thi dil mein abhi iztirab aisa tha

Nazeer Ansari

kasak thi dil mein abhi iztirab aisa tha

Nazeer Ansari

MORE BYNazeer Ansari

    kasak thī dil meñ abhī iztirāb aisā thā

    hamāre paas thā koī ki ḳhvāb aisā thā

    mire junūñ ko fazīlat-ma.āb tum ne kiyā

    jahān-e-ishq meñ kis ḳhitāb aisā thā

    lagā ki aañkh pathrā ga.ī hai nargis

    hamāre saath jo royā sahāb aisā thā

    nazar meñ koī samundar kabhī samāyā nahīñ

    magar vajūd hamārā habāb aisā thā

    raheñ nigāh meñ mub.ham haqīqateñ sab

    har ek chehre pe dohrā naqāb aisā thā

    pareshāñ kartī hai rah rah ke ab bhī vo ḳhushbū

    vafā-shi.ār vo rashk-e-gulāb aisā thā

    kitāb dār-o-rasan tak paḌh sake aksar

    kamāl-e-ishq mushkil nisāb aisā thā

    zamāna guzrā magar ab bhī hai vo dard-e-jigar

    azal se dil mire intiḳhāb aisā thā

    zamāna aaj bhī izzat se naam letā hai

    'nazīr' aap ḳhāna-ḳharāb aisā thā

    kasak thi dil mein abhi iztirab aisa tha

    hamare pas tha koi ki KHwab aisa tha

    mere junun ko fazilat-maab tum ne kiya

    jahan-e-ishq mein kis ka KHitab aisa tha

    laga ki aankh hi pathra gai hai nargis ki

    hamare sath jo roya sahab aisa tha

    nazar mein koi samundar kabhi samaya nahin

    magar wajud hamara habab aisa tha

    rahen nigah mein mubham haqiqaten sab ki

    har ek chehre pe dohra naqab aisa tha

    pareshan karti hai rah rah ke ab bhi wo KHushbu

    wafa-shiar wo rashk-e-gulab aisa tha

    kitab dar-o-rasan tak hi paDh sake aksar

    kamal-e-ishq ka mushkil nisab aisa tha

    zamana guzra magar ab bhi hai wo dard-e-jigar

    azal se dil ka mere intiKHab aisa tha

    zamana aaj bhi izzat se nam leta hai

    'nazir' aap ka KHana-KHarab aisa tha

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now