Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kashti bhi miraq uski hai patwar bhi suraj

Miraq Mirza

kashti bhi miraq uski hai patwar bhi suraj

Miraq Mirza

MORE BYMiraq Mirza

    kashtī bhī 'mirāq' us hai patvār bhī sūraj

    ākār bhī sūraj hai nirākār bhī sūraj

    jharnoñ meñ madhur giit ujāloñ nishānī

    bādal uḌānoñ meñ chhupā saar bhī sūraj

    bahte hue paanī meñ haiñ us ke nazāre

    hai mausam-e-barsāt ādhār bhī sūraj

    kuchh naav lagātā hai vahī roz kināre

    kuchh ko jo nigaltā hai vo mañjdhār bhī sūraj

    patthar se jo aa.ī thī kabhī us sadā thī

    miTTī ke libāsoñ meñ chamatkār bhī sūraj

    kashti bhi 'miraq' us ki hai patwar bhi suraj

    aakar bhi suraj hai nirakar bhi suraj

    jharnon mein madhur git ujalon ki nishani

    baadal ki uDanon mein chhupa sar bhi suraj

    bahte hue pani mein hain us ke hi nazare

    hai mausam-e-barsat ka aadhaar bhi suraj

    kuchh naw lagata hai wahi roz kinare

    kuchh ko jo nigalta hai wo manjdhaar bhi suraj

    patthar se jo aai thi kabhi us ki sada thi

    miTTi ke libason mein chamatkar bhi suraj

    Source:

    Sooraj Ke Aas Pas (Pg. 43)

    • Author: Miraq Mirza
      • Publisher: Urdu Foundation, Mumbai
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now