Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kashti-hawas hawaon ke ruKH par utar de

Zafar Iqbal

kashti-hawas hawaon ke ruKH par utar de

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    kashtī-havas havāoñ ke ruḳh par utaar de

    kho.e ho.uuñ se mil ye daladdar utaar de

    be-samt uḌaan hai shoḳhī shabāb

    us chhat pe aaj ye kabūtar utaar de

    maiñ itnā bad-ma.āsh nahīñ ya.anī khul ke baiTh

    chubhne lagī hai dhuup sweater utaar de

    din-rāt yuuñ na ḳhauf gaTThar uThā.e phir

    ye bojh apne sar se jhaTak kar utaar de

    us āb-o-tāb se raushan ho reg-e-dil

    ye teġh mere siine ke andar utaar de

    chehre se jhaaḌ pichhle baras kudūrateñ

    dīvār se purānā calendar utaar de

    ye baat zarf nahīñ hai māvarā-e-zarf

    chāhe to is kueñ meñ samundar utaar de

    logoñ ke saath merī laḌā.ī hai āj-kal

    behtar hai mujh ko shahr se bāhar utaar de

    ḳhud to saat pardoñ meñ mastūr hai 'zafar'

    malbūs tere aage vo kyūñkar utaar de

    kashti-hawas hawaon ke ruKH par utar de

    khoe houn se mil ye daladdar utar de

    be-samt ki uDan hai shoKHi shabab ki

    us chhat pe aaj tu ye kabutar utar de

    main itna bad-maash nahin yani khul ke baiTh

    chubhne lagi hai dhup sweater utar de

    din-raat yun na KHauf ka gaTThar uThae phir

    ye bojh apne sar se jhaTak kar utar de

    us ki hi aab-o-tab se raushan ho reg-e-dil

    ye tegh mere sine ke andar utar de

    chehre se jhaD pichhle baras ki kuduraten

    diwar se purana calendar utar de

    ye baat zarf ki nahin hai mawara-e-zarf

    chahe to is kuen mein samundar utar de

    logon ke sath meri laDai hai aaj-kal

    behtar hai mujh ko shahr se bahar utar de

    tu KHud to sat pardon mein mastur hai 'zafar'

    malbus tere aage wo kyunkar utar de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now