kashti to bhanwar mein hai lekin sahil ki tamanna karte hain
kashti to bhanwar mein hai lekin sahil ki tamanna karte hain
Rajesh Kumar Auj
MORE BYRajesh Kumar Auj
kashtī to bhañvar meñ hai lekin sāhil kī tamanna karte haiñ
sahrā meñ bhaTakte phirte haiñ manzil kī tamanna karte haiñ
vo jin meñ vafā kā naam nahīñ iḳhlās se haiñ jo begāna
be-mehr vo kaise ham se bhalā phir dil kī tamanna karte haiñ
dīvāne chale jaate haiñ tire apnī dhun meñ be-sudh ho kar
jab hosh unheñ aatā hai kabhī manzil kī tamanna karte haiñ
jo ishq-o-vafā meñ Duubā ho dukh-dard jo auroñ kā samjhe
ham tujh se ḳhudāvandā aise ik dil kī tamanna karte haiñ
ai 'auj' hamāre ishq meñ to kuchh laus nahīñ ḳhud-ġharzī kā
haiñ apnī ġharaz ke bande jo hāsil kī tamanna karte haiñ
kashti to bhanwar mein hai lekin sahil ki tamanna karte hain
sahra mein bhaTakte phirte hain manzil ki tamanna karte hain
wo jin mein wafa ka nam nahin iKHlas se hain jo begana
be-mehr wo kaise hum se bhala phir dil ki tamanna karte hain
diwane chale jate hain tere apni dhun mein be-sudh ho kar
jab hosh unhen aata hai kabhi manzil ki tamanna karte hain
jo ishq-o-wafa mein Duba ho dukh-dard jo auron ka samjhe
hum tujh se KHudawanda aise ek dil ki tamanna karte hain
ai 'auj' hamare ishq mein to kuchh laus nahin KHud-gharzi ka
hain apni gharaz ke bande jo hasil ki tamanna karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.