Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaT gain sari patangen Dor se

Aslam Habeeb

kaT gain sari patangen Dor se

Aslam Habeeb

MORE BYAslam Habeeb

    kaT ga.iiñ saarī patañgeñ Dor se

    chaltī haiñ kaise havā.eñ zor se

    bevafā saare parinde ho ga.e

    dostī apnī bhī thī ik mor se

    chand jazbe jañg meñ mashġhūl the

    rāt-bhar maiñ so na paayā shor se

    āḳhirash sūraj uḌā ke le ga.e

    bhiik kab tak māñgte ham bhor se

    ik na ik din sard jhoñke ā.eñge

    rābta rakhiye ghaTā-ghañghor se

    qabr pe aañsū bahā ke aa.e haiñ

    baaġh meñ milne ga.e the mor se

    maiñ ye samjhā thā qayāmat aa ga.ī

    aadmī chīḳhā thā itnī zor se

    kaT gain sari patangen Dor se

    chalti hain kaise hawaen zor se

    bewafa sare parinde ho gae

    dosti apni bhi thi ek mor se

    chand jazbe jang mein mashghul the

    raat-bhar main so na paya shor se

    aaKHirash suraj uDa ke le gae

    bhik kab tak mangte hum bhor se

    ek na ek din sard jhonke aaenge

    rabta rakhiye ghaTa-ghanghor se

    qabr pe aansu baha ke aae hain

    bagh mein milne gae the mor se

    main ye samjha tha qayamat aa gai

    aadmi chiKHa tha itni zor se

    Source:

    Apne Ghar Tak Aa Pauhncha Hoon (Pg. 57)

    • Author: Aslam Habib
      • Edition: 2011
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now