Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaTi hai umr gunahgar-e-zindagi ki tarah

Rishi Patialvi

kaTi hai umr gunahgar-e-zindagi ki tarah

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    kaTī hai 'umr gunahgār-e-zindagī tarah

    dayār-e-dost se guzre haiñ ajnabī tarah

    baḌā karam hai ye mujh par ġham-e-mohabbat ka

    ġham-e-hayāt bhī raas aa gayā ḳhushī tarah

    tire sulūk pe mujh ko baḌā ta'ajjub hai

    na dushmanī tarah hai na dostī tarah

    vo ḳhvāb jin meñ tirā husn raqs-farmā thā

    bikhar ga.e haiñ pareshān zindagī tarah

    bahār aa ke ye kyā gul khilā ga.ī yārab

    guloñ ke ruḳh pe hañsī hai fasurdagī tarah

    charāġh jal to ga.e raushnī ka naam nahīñ

    vo raushnī jo nazar aa.e raushnī tarah

    vo duur rah ke bhī ab duur rah nahīñ sakte

    ham un yaad se mānūs haiñ unhī tarah

    qamar-jamāl kahūñ kyoñ na un ke jalvoñ ko

    utar ga.e vo mire dil meñ chāñdnī tarah

    kisī yād-e-bahār-āfrīñ ka kyā kahnā

    khilī hai dil kalī vāqa'ī kalī tarah

    kaTi hai 'umr gunahgar-e-zindagi ki tarah

    dayar-e-dost se guzre hain ajnabi ki tarah

    baDa karam hai ye mujh par gham-e-mohabbat ka

    gham-e-hayat bhi ras aa gaya KHushi ki tarah

    tere suluk pe mujh ko baDa ta'ajjub hai

    na dushmani ki tarah hai na dosti ki tarah

    wo KHwab jin mein tera husn raqs-farma tha

    bikhar gae hain pareshan zindagi ki tarah

    bahaar aa ke ye kya gul khila gai yarab

    gulon ke ruKH pe hansi hai fasurdagi ki tarah

    charagh jal to gae raushni ka nam nahin

    wo raushni jo nazar aae raushni ki tarah

    wo dur rah ke bhi ab dur rah nahin sakte

    hum un ki yaad se manus hain unhi ki tarah

    qamar-jamal kahun kyon na un ke jalwon ko

    utar gae wo mere dil mein chandni ki tarah

    kisi ki yaad-e-bahaar-afrin ka kya kahna

    khili hai dil ki kali waqa'i kali ki tarah

    Source:

    Tehreek Jild 8 Shumara 3 June-1960 (Pg. 29)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now