Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun aaega jo tu be-sar-o-saman hoga

Meer Kallu Arsh

kaun aaega jo tu be-sar-o-saman hoga

Meer Kallu Arsh

MORE BYMeer Kallu Arsh

    kaun aa.egā jo be-sar-o-sāmāñ hogā

    varna hogā na andesha-e-darbāñ hogā

    qatl ke ba.ad bhī ik aish sāmāñ hogā

    mai-e-gul-rañg lahū zaḳhm namak-dāñ hogā

    bāñkpan bas ki hai manzūr mire qātil ko

    gul-e-dastār bhī ab ġhuncha-e-paikāñ hogā

    ik nazar dekh sakegā na tirī chashm-e-siyāh

    sabza-e-ḳhat bhī charāgāh-e-ġhazālāñ hogā

    vahāñ bhī jo na ho yaar to phir hai andher

    roz-e-mahshar pe gumān-e-shab-e-hijrāñ hogā

    dilbaro dil ke na le jaane meñ isrār karo

    tum ko kyā fā.eda hogā mirā nuqsāñ hogā

    jaate haiñ sabr o qarār o ḳhirad o hosh o havās

    jaras-e-qāfila apnā dil-e-nālāñ hogā

    mere iisā se mire dard darmāñ hogā

    sharbat-e-vasl ilāj-e-tap-e-hijrāñ hogā

    vaa.iz ham ko na hañgāma-e-mahshar se Darā

    apne nazdīk vo ik majma-e-yārāñ hogā

    aa.ina dīda-e-hairāñ tujhe dikhlā.egā

    shāna-e-zulf mirā hāl-e-pareshāñ hogā

    dil-e-be-ishq se kaunain meñ hogā ḳharāb

    barhaman dair meñ ka.abe meñ musalmāñ hogā

    gar ye haiñ dast-e-junūñ aur vo haiñ ḳhār-e-junūñ

    na to dāman rahegā na garebāñ hogā

    shāḳh-e-gul hai qalam-e-fikr to ash.ār haiñ gul

    'arsh' dīvān mirā rashk-e-gulistāñ hogā

    kaun aaega jo tu be-sar-o-saman hoga

    warna hoga tu na andesha-e-darban hoga

    qatl ke baad bhi ek aish ka saman hoga

    mai-e-gul-rang lahu zaKHm namak-dan hoga

    bankpan bas ki hai manzur mere qatil ko

    gul-e-dastar bhi ab ghuncha-e-paikan hoga

    ek nazar dekh sakega na teri chashm-e-siyah

    sabza-e-KHat bhi charagah-e-ghazalan hoga

    tu wahan bhi jo na ho yar to phir hai andher

    roz-e-mahshar pe guman-e-shab-e-hijran hoga

    dilbaro dil ke na le jaane mein israr karo

    tum ko kya faeda hoga mera nuqsan hoga

    jate hain sabr o qarar o KHirad o hosh o hawas

    jaras-e-qafila apna dil-e-nalan hoga

    mere isa se mere dard ka darman hoga

    sharbat-e-wasl ilaj-e-tap-e-hijran hoga

    waiz hum ko tu na hangama-e-mahshar se Dara

    apne nazdik wo ek majma-e-yaran hoga

    aaina dida-e-hairan tujhe dikhlaega

    shana-e-zulf mera haal-e-pareshan hoga

    dil-e-be-ishq se kaunain mein tu hoga KHarab

    barhaman dair mein kabe mein musalman hoga

    gar ye hain dast-e-junun aur wo hain KHar-e-junun

    na to daman hi rahega na gareban hoga

    shaKH-e-gul hai qalam-e-fikr to ashaar hain gul

    'arsh' diwan mera rashk-e-gulistan hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now