Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun aajiz sila-e-tishna-e-dahani mange

Kaleem Aajiz

kaun aajiz sila-e-tishna-e-dahani mange

Kaleem Aajiz

MORE BYKaleem Aajiz

    kaun 'ājiz' sila-e-tishna-e-dahānī māñge

    ye jahāñ aag use detā hai jo paanī māñge

    dil bhī gardan bhī hathelī pe liye phirtā huuñ

    jaane kab kis lahū terī javānī māñge

    toḌiye maslahat-e-vaqt dīvāroñ ko

    raah jis vaqt tabī.at ravānī māñge

    māñgnā jurm hai fankār se tartīb-e-ḳhayāl

    gesū-e-vaqt jab āshufta-bayānī māñge

    saaqī chāhe to vo daur bhī aa saktā hai

    ki mile jām-e-sharāb us ko jo paanī māñge

    kis siina hai jo zaḳhmoñ se nahīñ hai ma.amūr

    kyā koī tujh se mohabbat nishānī māñge

    dil to de chukā ab hai ye irāda apnā

    jaan bhī de duuñ jo vo dushman-e-jānī māñge

    haiñ mire shīsha-e-sahbā-e-suḳhan meñ donoñ

    na.ī māñge koī mujh se ki purānī māñge

    kaun 'ajiz' sila-e-tishna-e-dahani mange

    ye jahan aag use deta hai jo pani mange

    dil bhi gardan bhi hatheli pe liye phirta hun

    jaane kab kis ka lahu teri jawani mange

    toDiye maslahat-e-waqt ki diwaron ko

    rah jis waqt tabiat ki rawani mange

    mangna jurm hai fankar se tartib-e-KHayal

    gesu-e-waqt jab aashufta-bayani mange

    saqi tu chahe to wo daur bhi aa sakta hai

    ki mile jam-e-sharab us ko jo pani mange

    kis ka sina hai jo zaKHmon se nahin hai mamur

    kya koi tujh se mohabbat ki nishani mange

    dil to de hi chuka ab hai ye irada apna

    jaan bhi de dun jo wo dushman-e-jaani mange

    hain mere shisha-e-sahba-e-suKHan mein donon

    nai mange koi mujh se ki purani mange

    Source:

    vo jo shairi ka sabab hua (Pg. 362)

    • Author: Kaliim aajiz
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now