kaun aaKHir kah raha hai sari duniya chahiye
kaun āḳhir kah rahā hai saarī duniyā chāhiye
jo hameñ apnā samajhtā ho vo apnā chāhiye
sar chhupāne ke liye thoḌā sā saaya chāhiye
in parindoñ ko ilāhī āshiyāna chāhiye
zabt kā dāman na chhūTe zarf kahtā hai magar
un ko hoñToñ par mire 'arz-e-tamannā chāhiye
phir ubhārā phan yahāñ fir’auniyat ke naag ne
vaqt ko phir se 'asā-e-dast-e-mūsā chāhiye
jin ko kam miltā hai duniyā meñ vo kam se mutma.in
ahl-e-sarvat ko ziyāda se ziyāda chāhiye
beTiyoñ ke dam se qaa.em hai vujūd-e-kā.enāt
phir bhī kuchh logoñ ko 'hasrat' sirf beTā chāhiye
kaun aaKHir kah raha hai sari duniya chahiye
jo hamein apna samajhta ho wo apna chahiye
sar chhupane ke liye thoDa sa saya chahiye
in parindon ko ilahi aashiyana chahiye
zabt ka daman na chhuTe zarf kahta hai magar
un ko honTon par mere 'arz-e-tamanna chahiye
phir ubhaara phan yahan fir’auniyat ke nag ne
waqt ko phir se 'asa-e-dast-e-musa chahiye
jin ko kam milta hai duniya mein wo kam se mutmain
ahl-e-sarwat ko ziyaada se ziyaada chahiye
beTiyon ke dam se qaem hai wujud-e-kaenat
phir bhi kuchh logon ko 'hasrat' sirf beTa chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.