Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun buton se rishta joDe

Shaad Aarfi

kaun buton se rishta joDe

Shaad Aarfi

MORE BYShaad Aarfi

    kaun butoñ se rishta joḌe

    naam baḌe aur darshan thoḌe

    us par ye bharpūr javānī

    bāñheñ bhar le aur na chhoḌe

    joban ko ye aql kahāñ hai

    chādar itne paañv sikoḌe

    chhalke sāgar aañkh nashīlī

    nargis meñ añgūr nichoḌe

    haal se mustaqbil bantā hai

    phuuT baheñge pakke phoḌe

    piiTh na de āzāda-ravī ko

    siine par khā zaḳhm bhagoḌe

    'shād' na.e hālāt meñ huuñ maiñ

    mujh ko kyā mazmūn ke toḌe

    kaun buton se rishta joDe

    nam baDe aur darshan thoDe

    us par ye bharpur jawani

    banhen bhar le aur na chhoDe

    joban ko ye aql kahan hai

    chadar itne panw sikoDe

    chhalke sagar aankh nashili

    nargis mein angur nichoDe

    haal se mustaqbil banta hai

    phuT bahenge pakke phoDe

    piTh na de aazada-rawi ko

    sine par kha zaKHm bhagoDe

    'shad' nae haalat mein hun main

    mujh ko kya mazmun ke toDe

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 100)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now