Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun darwaza khula rakhta barae intizar

seemab zafar

kaun darwaza khula rakhta barae intizar

seemab zafar

MORE BYseemab zafar

    kaun darvāza khulā rakhtā barā.e intizār

    raat gahrī ho chalī rahrav abas hai kal pukār

    aañkh jal jaatī hai lekin ḳhvāb jhulsātī nahīñ

    surma.ī Dherī ḳhunkī se janam legī bahār

    kaun dasht-e-karb ke āzār aadī huā

    kaun paayā hai bahr-e-dard maujoñ ke paar

    rañj meñ lipTā rahā mahtāb ġhamgīñ badan

    raat Tairis par koī sajde maiñ royā zār-zār

    ab kisī shikve-gile koī gunjā.ish nahīñ

    aap apne haath se sauñpā thā us ko iḳhtiyār

    kaifiyat pūchh mat hamdam ki lutf-e-qurb se

    aaj kuchh baḌh kar hai apne andarūñ bahtā ḳhumār

    shāhzādī rauzan-e-zindāñ se rah taktī rahī

    shahr raḳhshandagī meñ kho gayā ik shahsavār

    ik nazar mo.ajiza mere qalam sab hunar

    ik sunahrī dhyān se barsī hai nazmoñ phuvār

    kaun darwaza khula rakhta barae intizar

    raat gahri ho chali rahraw abas hai kal pukar

    aankh jal jati hai lekin KHwab jhulsati nahin

    surmai Dheri ki KHunki se janam legi bahaar

    kaun dasht-e-karb ke aazar ka aadi hua

    kaun ja paya hai bahr-e-dard ki maujon ke par

    ranj mein lipTa raha mahtab ka ghamgin badan

    raat Tairis par koi sajde main roya zar-zar

    ab kisi shikwe-gile ki koi gunjaish nahin

    aap apne hath se saunpa tha us ko iKHtiyar

    kaifiyat ki puchh mat hamdam ki lutf-e-qurb se

    aaj kuchh baDh kar hai apne andarun bahta KHumar

    shahzadi rauzan-e-zindan se rah takti rahi

    shahr ki raKHshandagi mein kho gaya ek shahsawar

    ek nazar ka moajiza mere qalam ka sab hunar

    ek sunahri dhyan se barsi hai nazmon ki phuwar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now