Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun dil hai ki tere dard mein bimar nahin

Shaikh Zahuruddin Hatim

kaun dil hai ki tere dard mein bimar nahin

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    kaun dil hai ki tire dard meñ bīmār nahīñ

    kaun hai ki tire ġham meñ giraftār nahīñ

    kaun dhrā hai ki tujh but nahīñ hai puujā

    kaun masjid hai ki tujh dars takrār nahīñ

    kaun ḳhush-rū hai ki tujh nahīñ hai tālib

    kaun tālib hai ki tujh shai talabgār nahīñ

    kaun suufī hai ki tujh mai se nahīñ hai mad.hosh

    kaun kaifī hai ki tujh kaif se hushiyār nahīñ

    kaun kahtā hai ki 'hātim' ko nahīñ tujh se pyaar

    kaun kahtā hai ki 'hātim' se tujhe pyaar nahīñ

    kaun dil hai ki tere dard mein bimar nahin

    kaun ji hai ki tere gham mein giraftar nahin

    kaun dhra hai ki tujh but ki nahin hai puja

    kaun masjid hai ki tujh dars ki takrar nahin

    kaun KHush-ru hai ki tujh ru ka nahin hai talib

    kaun talib hai ki tujh shai ka talabgar nahin

    kaun sufi hai ki tujh mai se nahin hai madhosh

    kaun kaifi hai ki tujh kaif se hushiyar nahin

    kaun kahta hai ki 'hatim' ko nahin tujh se pyar

    kaun kahta hai ki 'hatim' se tujhe pyar nahin

    Source:

    Diwan Zadah (Pg. 226)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now