kaun hai apna ham-qadam kahiye
kaun hai apnā ham-qadam kahiye
kis se hālāt ke sitam kahiye
kis qadar muḳhtasar hai sub.h-e-nashāt
kitnī lambī hai shām-e-ġham kahiye
aa ga.ī aur puḳhtagī ham meñ
sitam-e-dost ko karam kahiye
kaun ġham-ḳhvār hai zamāne meñ
kis se bechārgī kā ġham kahiye
log karne lage haiñ farmā.ish
ḳhār-zāroñ ko bhī iram kahiye
maiñ ne kholī nahīñ zabāñ apnī
rah gayā aap kā bharam kahiye
ye hai farmān-e-vaqt ai 'maqbūl'
kam-savādoñ ko mohtaram kahiye
kaun hai apna ham-qadam kahiye
kis se haalat ke sitam kahiye
kis qadar muKHtasar hai subh-e-nashat
kitni lambi hai sham-e-gham kahiye
aa gai aur puKHtagi hum mein
sitam-e-dost ko karam kahiye
kaun gham-KHwar hai zamane mein
kis se bechaargi ka gham kahiye
log karne lage hain farmaish
KHar-zaron ko bhi iram kahiye
main ne kholi nahin zaban apni
rah gaya aap ka bharam kahiye
ye hai farman-e-waqt ai 'maqbul'
kam-sawadon ko mohtaram kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.