Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun hai kis ka KHaridar chalo chhoDo bhi

Asrarul Haq Asrar

kaun hai kis ka KHaridar chalo chhoDo bhi

Asrarul Haq Asrar

MORE BYAsrarul Haq Asrar

    kaun hai kis ḳharīdār chalo chhoḌo bhī

    haiñ sabhī raunaq-e-bāzār chalo chhoḌo bhī

    koī zāhid hai na mai-ḳhvār chalo chhoḌo bhī

    haiñ sabhī sāhab-e-kirdār chalo chhoḌo bhī

    farq kyā mulzim-o-munsif meñ batāyā jaa.e

    hai ye be-kār takrār chalo chhoḌo bhī

    kuchh rusūmāt-e-kuhan haiñ ki nibāheñ kab tak

    unsiyat muḳhlisī kirdār chalo chhoḌo bhī

    laakh ab aap kiye jaa.eñ masīhā.ī to kyā

    hai vahī dard jhankār chalo chhoḌo bhī

    dil rāhoñ pe bhalā tum bhī chaloge kab tak

    ḳhaar ḳhaar haiñ 'asrār' chalo chhoḌo bhī

    kaun hai kis ka KHaridar chalo chhoDo bhi

    hain sabhi raunaq-e-bazar chalo chhoDo bhi

    koi zahid hai na mai-KHwar chalo chhoDo bhi

    hain sabhi sahab-e-kirdar chalo chhoDo bhi

    farq kya mulzim-o-munsif mein bataya jae

    hai ye be-kar ki takrar chalo chhoDo bhi

    kuchh rusumat-e-kuhan hain ki nibahen kab tak

    unsiyat muKHlisi kirdar chalo chhoDo bhi

    lakh ab aap kiye jaen masihai to kya

    hai wahi dard ki jhankar chalo chhoDo bhi

    dil ki rahon pe bhala tum bhi chaloge kab tak

    KHar hi KHar hain 'asrar' chalo chhoDo bhi

    Source:

    Dastaras (Pg. 37)

    • Author: Asrarul Haq Asrar
      • Publisher: Asrarul Haq Asrar
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now