kaun jaane kidhar ja raha hai bashar
kaun jaane kidhar jā rahā hai bashar
aadmī ke liye aadmī hai sharar
in daraḳhtoñ se maiñ ne hai jaanā yahī
choT khā lo magar sab ko de do samar
log milte yahāñ apne matlab se haiñ
yuuñ kisī ko nahīñ hai kisī kī ḳhabar
kab se huuñ mubtalā 'ishq ke rog meñ
koī chāra to kar ai mire chārāgar
kyā batā.ūñ ki kitnā hai ḳhālī badan
mujh meñ merī kamī hī rahī 'umr bhar
muddateñ ho ga.iiñ dekhte dekhte
'ahras' un se kaho pher le vo nazar
kaun jaane kidhar ja raha hai bashar
aadmi ke liye aadmi hai sharar
in daraKHton se main ne hai jaana yahi
choT kha lo magar sab ko de do samar
log milte yahan apne matlab se hain
yun kisi ko nahin hai kisi ki KHabar
kab se hun mubtala 'ishq ke rog mein
koi chaara to kar ai mere chaaragar
kya bataun ki kitna hai KHali badan
mujh mein meri kami hi rahi 'umr bhar
muddaten ho gain dekhte dekhte
'ahras' un se kaho pher le wo nazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.