Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun kahta hai ki teri justuju karte rahe

Mushtaq Darbhangwi

kaun kahta hai ki teri justuju karte rahe

Mushtaq Darbhangwi

MORE BYMushtaq Darbhangwi

    kaun kahtā hai ki terī justujū karte rahe

    sāda-dil ushshāq sharh-e-ārzū karte rahe

    ġham bastī meñ karoḌoñ chāk-dāmān-e-alam

    ziist ke har daur meñ fikr-e-rafū karte rahe

    jis ne baḳhshā nahīñ kuchh sozish-e-ġham ke sivā

    zindagī bhar ham usī aarzū karte rahe

    ye thī nā-samjhī hamārī chhoḌ kar apnā dayār

    tere kūche meñ talāsh-e-rang-o-bū karte rahe

    ai dil-e-ḳhāna-ḳharāb us paikar-e-gul talāsh

    dar-ba-dar sahrā-ba-sahrā kū-ba-kū karte rahe

    kaun kahta hai ki teri justuju karte rahe

    sada-dil ushshaq sharh-e-arzu karte rahe

    gham ki basti mein karoDon chaak-daman-e-alam

    zist ke har daur mein fikr-e-rafu karte rahe

    jis ne baKHsha hi nahin kuchh sozish-e-gham ke siwa

    zindagi bhar hum usi ki aarzu karte rahe

    ye thi na-samjhi hamari chhoD kar apna dayar

    tere kuche mein talash-e-rang-o-bu karte rahe

    ai dil-e-KHana-KHarab us paikar-e-gul ki talash

    dar-ba-dar sahra-ba-sahra ku-ba-ku karte rahe

    Source:

    (Pg. 231)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now