Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun kahta hai ki ye shoKHi-e-bedad nahin

Bismil Dehlavi

kaun kahta hai ki ye shoKHi-e-bedad nahin

Bismil Dehlavi

MORE BYBismil Dehlavi

    kaun kahtā hai ki ye shoḳhī-e-bedād nahīñ

    tum ne milne ko kahā bhī thā kahīñ yaad nahīñ

    haa.e us roz har vāqi.a tum bhuul ga.e

    haa.e kyā merā taḌapnā bhī tumheñ yaad nahīñ

    maiñ ḳhatāvār agar ahd-shikan phir se kahūñ

    tum usī naaz se kah do ki hameñ yaad nahīñ

    uf ye iz.hār-e-taġhāful adā-e-dil-kash

    phir zarā kahiye ki haañ kah to diyā yaad nahīñ

    ye tarahdārī-e-iz.hār-e-taġhāful uuñ huuñ

    hañs ke muñh pher ke sharmā ke kaho yaad nahīñ

    itnā to yaad hai ik va.ada kiyā thā lekin

    ham ne kyā va.ada kiyā thā hameñ ye yaad nahīñ

    zikr-e-'bismil' pe vo farmāne lage jhuñjhlā kar

    hogā koī chalo jaane do hameñ yaad nahīñ

    kaun kahta hai ki ye shoKHi-e-bedad nahin

    tum ne milne ko kaha bhi tha kahin yaad nahin

    hae us roz ka har waqia tum bhul gae

    hae kya mera taDapna bhi tumhein yaad nahin

    main KHatawar agar ahd-shikan phir se kahun

    tum usi naz se kah do ki hamein yaad nahin

    uf ye izhaar-e-taghaful ki ada-e-dil-kash

    phir zara kahiye ki han kah to diya yaad nahin

    ye tarahdari-e-izhaar-e-taghaful un hun

    hans ke munh pher ke sharma ke kaho yaad nahin

    itna to yaad hai ek wada kiya tha lekin

    hum ne kya wada kiya tha hamein ye yaad nahin

    zikr-e-'bismil' pe wo farmane lage jhunjhla kar

    hoga koi chalo jaane do hamein yaad nahin

    Source:

    Fikr-e-Buland (Pg. 44)

    • Author: Bismil Dehlavi
      • Publisher: Khush Naweesh Natthu Ram, Lahore
      • Year of Publication: 1945
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now