Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun kahta hai ki nafrat ko sada di jae

Jyoti Azad Khatri

kaun kahta hai ki nafrat ko sada di jae

Jyoti Azad Khatri

MORE BYJyoti Azad Khatri

    kaun kahtā hai nafrat ko sadā jaa.e

    aao bas dil meñ vafā aur baḌhā jaa.e

    ham-safar lutf-e-safar aur do-bālā hogā

    chhāñv meñ dhuup agar thoḌī milā jaa.e

    ab to vahshat mirī chāhat yahī kahtī hai

    maiñ gunahgār huuñ to mujh ko sazā jaa.e

    abr ḳhushiyoñ ke bhī barseñge yaqīñ hai mujh ko

    ġham chādar to mire sar se haTā jaa.e

    maiñ ne asrār aziyyat meñ khulte dekhe

    baat chhoTī hai magar sab ko batā jaa.e

    umr phir us asīrī meñ guzārūñ 'jyotī'

    phir se mujh ko vahī āzād fazā jaa.e

    kaun kahta hai ki nafrat ko sada di jae

    aao bas dil mein wafa aur baDha di jae

    ham-safar lutf-e-safar aur do-baala hoga

    chhanw mein dhup agar thoDi mila di jae

    ab to wahshat meri chahat ki yahi kahti hai

    main gunahgar hun to mujh ko saza di jae

    abr KHushiyon ke bhi barsenge yaqin hai mujh ko

    gham ki chadar to mere sar se haTa di jae

    main ne asrar aziyyat mein hi khulte dekhe

    baat chhoTi hai magar sab ko bata di jae

    umr phir us ki asiri mein guzarun 'jyoti'

    phir se mujh ko wahi aazad faza di jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now