kaun sa tan hai ki misl-e-ruh is mein tu nahin
kaun sā tan hai ki misl-e-rūh is meñ tū nahīñ
kaun gul hai jo tirā maskan ba-rañg-e-bū nahīñ
jām-e-nargis meñ kahāñ shabnam jo nikle āftāb
yaar ke aage mirī āñkhoñ meñ ik aañsū nahīñ
yād-e-gesū meñ huā merā ye dhajjī sā badan
mujh pe phabtī kahte haiñ mūbāf hai gesū nahīñ
jism aisā ghul gayā hai mujh marīz-e-ishq kā
dekh kar kahte haiñ sab tāvīz hai baazū nahīñ
dekhe haiñ hañsne meñ jis din se dur-e-dandān-e-yār
chain misl-e-gauhar-e-ġhaltāñ kisī pahlū nahīñ
ishq meñ badmast huuñ maiñ par koī vāqif nahīñ
nashsha hai jām-e-mai-e-ulfat meñ lekin bū nahīñ
zulf-e-jānāñ meñ nahīñ koī dil-e-vahshī asiir
ye ajab tātār hai jo ek bhī aahū nahīñ
ho gayā hai ye qirān-e-āftāb o māh-e-nau
yaar ke ruḳhsār-e-ātish-rañg par abrū nahīñ
ho gayā hai misl-e-mū tār-e-nigah apnā siyāh
aage āñkhoñ ke sanam jab se tire gesū nahīñ
raat din nāqūs kahte haiñ ba-āvāz-e-buland
dair se behtar hai kaaba gar butoñ meñ tū nahīñ
qumriyāñ dīvānī haiñ kyūñkar gale meñ ho na tauq
baaġh meñ ik sarv misl-e-qāmat-e-dil-jū nahīñ
kaun sa tan hai ki misl-e-ruh is mein tu nahin
kaun gul hai jo tera maskan ba-rang-e-bu nahin
jam-e-nargis mein kahan shabnam jo nikle aaftab
yar ke aage meri aankhon mein ek aansu nahin
yaad-e-gesu mein hua mera ye dhajji sa badan
mujh pe phabti kahte hain mubaf hai gesu nahin
jism aisa ghul gaya hai mujh mariz-e-ishq ka
dekh kar kahte hain sab tawiz hai bazu nahin
dekhe hain hansne mein jis din se dur-e-dandan-e-yar
chain misl-e-gauhar-e-ghaltan kisi pahlu nahin
ishq mein badmast hun main par koi waqif nahin
nashsha hai jam-e-mai-e-ulfat mein lekin bu nahin
zulf-e-jaanan mein nahin koi dil-e-wahshi asir
ye ajab tatar hai jo ek bhi aahu nahin
ho gaya hai ye qiran-e-aftab o mah-e-nau
yar ke ruKHsar-e-atish-rang par abru nahin
ho gaya hai misl-e-mu tar-e-nigah apna siyah
aage aankhon ke sanam jab se tere gesu nahin
raat din naqus kahte hain ba-awaz-e-buland
dair se behtar hai kaba gar buton mein tu nahin
qumriyan diwani hain kyunkar gale mein ho na tauq
bagh mein ek sarw misl-e-qamat-e-dil-ju nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.