kaun samjhega mujhe kaam se pahle pahle
kaun samjhegā mujhe kaam se pahle pahle
mujh ko jāneñge sabhī naam se pahle pahle
kaisī bechainī mujhe gher rahī hai aa kar
kitnā ārām thā ārām se pahle pahle
mujh se Dhalnā tirā dekhā nahīñ jaatā sūraj
niiñd aa jaa.e mujhe shaam se pahle pahle
ab bhī lagtā hai vo manzar mujhe taaza taaza
koī utrā thā kabhī baam se pahle pahle
mere beTe tirī tāqat nahīñ kamzorī hai
tujh ko jāneñge mire naam se pahle pahle
aate aate hī maiñ anjām talak aayā huuñ
kitne ilzām the in'ām se pahle pahle
kaun samjhega mujhe kaam se pahle pahle
mujh ko jaanenge sabhi nam se pahle pahle
kaisi bechaini mujhe gher rahi hai aa kar
kitna aaram tha aaram se pahle pahle
mujh se Dhalna tera dekha nahin jata suraj
nind aa jae mujhe sham se pahle pahle
ab bhi lagta hai wo manzar mujhe taza taza
koi utra tha kabhi baam se pahle pahle
mere beTe teri taqat nahin kamzori hai
tujh ko jaanenge mere nam se pahle pahle
aate aate hi main anjam talak aaya hun
kitne ilzam the in'am se pahle pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.