Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun se jazbaat le kar tere pas aaya karun

Riaz Majeed

kaun se jazbaat le kar tere pas aaya karun

Riaz Majeed

MORE BYRiaz Majeed

    kaun se jazbāt le kar tere paas aayā karūñ

    batā kis zāviye se maiñ tujhe dekhā karūñ

    ye bhī ik shart-e-safar hai ham-safar koī na ho

    jis kisī bhī rāste ko tai karūñ tanhā karūñ

    ai guzarte vaqt kab mere bas meñ aa.egā

    lamha-e-parrāñ batā kab tak tirā pīchhā karūñ

    halqa-e-ahbāb baḌhtā rahā hai din-ba-din

    ab maiñ apne aap ko bhī aur kuchh gahrā karūñ

    kyā tire qurb ke muhtāj the sab silsile

    kuchh samajh meñ nahīñ aatā ki maiñ ab kyā karūñ

    an-ginat bantī bigaḌtī ḳhvāhishoñ zad meñ huuñ

    dil kahīñ Thahrā bhī ho maiñ dil kyā kahnā karūñ

    mere milne vāloñ meñ se kaun miltā hai tujhe

    kahāñ hai aur kaisā hai kise pūchhā karūñ

    mujh meñ bhī terī tabī.at zarā rañg hai

    nahīñ to kyuuñ na apne aap ko chāhā karūñ

    mere sheroñ meñ tirī be-chārgī dukh bhī ho

    kaash jo sochtā hai vo bhī maiñ likkhā karūñ

    kyā se kyā hone dukh bhī kitnā karb-añgez hai

    kis tavaqqo par 'riyāz' ab aa.ina dekhā karūñ

    kaun se jazbaat le kar tere pas aaya karun

    tu bata kis zawiye se main tujhe dekha karun

    ye bhi ek shart-e-safar hai ham-safar koi na ho

    jis kisi bhi raste ko tai karun tanha karun

    ai guzarte waqt tu kab mere bas mein aaega

    lamha-e-parran bata kab tak tera pichha karun

    halqa-e-ahbab baDhta ja raha hai din-ba-din

    ab main apne aap ko bhi aur kuchh gahra karun

    kya tere hi qurb ke muhtaj the sab silsile

    kuchh samajh mein hi nahin aata ki main ab kya karun

    an-ginat banti bigaDti KHwahishon ki zad mein hun

    dil kahin Thahra bhi ho main dil ka kya kahna karun

    mere milne walon mein se kaun milta hai tujhe

    tu kahan hai aur kaisa hai kise puchha karun

    mujh mein bhi teri tabiat ka zara sa rang hai

    tu nahin to kyun na apne aap ko chaha karun

    mere sheron mein teri be-chaargi ka dukh bhi ho

    kash jo tu sochta hai wo bhi main likkha karun

    kya se kya hone ka dukh bhi kitna karb-angez hai

    kis tawaqqo par 'riyaz' ab aaina dekha karun

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 848)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now