Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun si maKHluq hai ye KHak par

Faisal Azeem

kaun si maKHluq hai ye KHak par

Faisal Azeem

MORE BYFaisal Azeem

    kaun maḳhlūq hai ye ḳhaak par

    chāhtī hai thūknā aflāk par

    khaal khīñcheñ aap is gustāḳh

    phuul kāḌhe aap poshāk par

    apne sāyoñ pe mañDlāte uqaab

    gidh bane utreñge arz-e-pāk par

    fikr hai ghar na un ko sar hosh

    bas kahīñ makkhī na baiThe naak par

    baḌhtā jaatā hai ik malbe Dher

    chaak toḌe rahe haiñ chaak par

    ghar ke mālik to khañDar ke bīchoñ-bīch

    laḌ rahe haiñ ab ḳhas-o-ḳhāshāk par

    log haiñ turbatoñ ke sūkhe phuul

    hañs rahe haiñ dīda-e-namnāk par

    kaun si maKHluq hai ye KHak par

    chahti hai thukna aflak par

    khaal khinchen aap is gustaKH ki

    phul kaDhe aap ki poshak par

    apne hi sayon pe manDlate uqab

    gidh bane utrenge arz-e-pak par

    fikr hai ghar ki na un ko sar ka hosh

    bas kahin makkhi na baiThe nak par

    baDhta hi jata hai ek malbe ka Dher

    chaak toDe ja rahe hain chaak par

    ghar ke malik to khanDar ke bichon-bich

    laD rahe hain ab KHas-o-KHashak par

    log hain ya turbaton ke sukhe phul

    hans rahe hain dida-e-namnak par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now