Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun si manzil hai jo be-KHwab aankhon mein nahin

Gulzar Vafa Chaudhari

kaun si manzil hai jo be-KHwab aankhon mein nahin

Gulzar Vafa Chaudhari

MORE BYGulzar Vafa Chaudhari

    kaun manzil hai jo be-ḳhvāb āñkhoñ meñ nahīñ

    ek sūraj DhūñDhtā huuñ jo ki sapnoñ meñ nahīñ

    dekhtā rahtā huuñ miTte shahr ke naqsh-o-nigār

    aañkh meñ vo sūrateñ bhī haiñ ki galiyoñ meñ nahīñ

    mausamoñ ruḳh udhar ko hai havāoñ idhar

    jañgaloñ meñ baat koī hai ki shahroñ meñ nahīñ

    piilī piilī titliyāñ haiñ aur mahrūmī raqs

    kaun vo zā.iqa hogā ki phūloñ meñ nahīñ

    yuuñ to har jānib khaḌe haiñ ye qatār-andar-qatār

    ek ThanDak hai ki in peḌoñ ke sāyoñ meñ nahīñ

    chāñd tāroñ ziyā.eñ kahkashāoñ ke hujūm

    kaun vo āsmāñ hai jo zamīnoñ meñ nahīñ

    kaun si manzil hai jo be-KHwab aankhon mein nahin

    ek suraj DhunDhta hun jo ki sapnon mein nahin

    dekhta rahta hun miTte shahr ke naqsh-o-nigar

    aankh mein wo suraten bhi hain ki galiyon mein nahin

    mausamon ka ruKH udhar ko hai hawaon ka idhar

    jangalon mein baat koi hai ki shahron mein nahin

    pili pili titliyan hain aur mahrumi ka raqs

    kaun sa wo zaiqa hoga ki phulon mein nahin

    yun to har jaanib khaDe hain ye qatar-andar-qatar

    ek ThanDak hai ki in peDon ke sayon mein nahin

    chand taron ki ziyaen kahkashaon ke hujum

    kaun sa wo aasman hai jo zaminon mein nahin

    Source:

    Muasir (Pg. 235)

    • Author: Habibullah
      • Publisher: Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now