kaun tha jis ne udasi ki pazirai ki
kaun thā jis ne udāsī kī pazīrā.ī kī
kaise buniyād paḌī shahr meñ tanhā.ī kī
roz-o-shab apne bikharne meñ hī masrūf huuñ maiñ
itnā masrūf ki fursat nahīñ yakjā.ī kī
Duub bhī sakte haiñ ye sat.h pe rahne vaale
in se bāteñ na kiyā kījiye gahrā.ī kī
band āñkhoñ se bhī har vaqt nazar aatā hai
kaisā manzar hai zarūrat nahīñ bīnā.ī kī
ajnabī apne liye huuñ ki zamāne ke liye
dekhtā rahtā huuñ tasvīr shanāsā.ī kī
is tamāshe ko ḳhudā dekhne vaalā hai bahut
kyā zarūrat hai kisī aur tamāshā.ī kī
kaun tha jis ne udasi ki pazirai ki
kaise buniyaad paDi shahr mein tanhai ki
roz-o-shab apne bikharne mein hi masruf hun main
itna masruf ki fursat nahin yakjai ki
Dub bhi sakte hain ye sath pe rahne wale
in se baaten na kiya kijiye gahrai ki
band aankhon se bhi har waqt nazar aata hai
kaisa manzar hai zarurat nahin binai ki
ajnabi apne liye hun ki zamane ke liye
dekhta rahta hun taswir shanasai ki
is tamashe ko KHuda dekhne wala hai bahut
kya zarurat hai kisi aur tamashai ki
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 64)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.