Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun us tegh-e-sitam-gar se bacha

Mohsin Zaidi

kaun us tegh-e-sitam-gar se bacha

Mohsin Zaidi

MORE BYMohsin Zaidi

    kaun us teġh-e-sitam-gar se bachā

    jo bachā apne muqaddar se bachā

    saaf inkār behtar hai ki maiñ

    zahmat-e-arz-e-mukarrar se bachā

    le na Dūbeñ mirī maujeñ mujh ko

    aa mujhe mere samundar se bachā

    jis ko ā.īna banānā ho tujhe

    aise patthar ko mire sar se bachā

    rāste meñ mujhe manzil na milī

    ye bhī achchhā huā Thokar se bachā

    āshiyāñ shāḳh-e-havā par us

    mere TuuTe hue shahpar se bachā

    mahbas-e-zāt se bāhar le chal

    mujh ko is gumbad-e-be-dar se bachā

    maiñ jo 'mohsin' huā majrūh to kyā

    vo bhī kab vaqt ke ḳhanjar se bachā

    kaun us tegh-e-sitam-gar se bacha

    jo bacha apne muqaddar se bacha

    saf inkar hi behtar hai ki main

    zahmat-e-arz-e-mukarrar se bacha

    le na Duben meri maujen mujh ko

    aa mujhe mere samundar se bacha

    jis ko aaina banana ho tujhe

    aise patthar ko mere sar se bacha

    raste mein mujhe manzil na mili

    ye bhi achchha hua Thokar se bacha

    aashiyan shaKH-e-hawa par us ka

    mere TuTe hue shahpar se bacha

    mahbas-e-zat se bahar le chal

    mujh ko is gumbad-e-be-dar se bacha

    main jo 'mohsin' hua majruh to kya

    wo bhi kab waqt ke KHanjar se bacha

    Source:

    Tahreek,New Delhi (Pg. 26)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now