kaundh uTThi kabhi bijli kabhi baadal chamka
kauñdh uTThī kabhī bijlī kabhī bādal chamkā
ḳhalvat-e-husn kā har gosha musalsal chamkā
jagmagātī rahī jalvoñ se tire bazm-e-nigāh
kabhī gesū kabhī 'āriz kabhī āñchal chamkā
phuuT niklī kabhī hoñThoñ se koī shoḳh kiran
kabhī palkoñ kī ghanī chhāñv meñ kājal chamkā
sail-e-naġhmāt meñ shab terī sadā kā sho'la
kabhī ojhal huā ik pal kabhī ik pal chamkā
gesū-e-shab ke mahakte hue saa.e ke tale
misl-e-ā.īna tirā jism jhalā-jhal chamkā
'zeb' naġhmoñ ke charāġhāñ meñ kise hosh thā kal
ik sitāra mirī mizhgāñ pe musalsal chamkā
kaundh uTThi kabhi bijli kabhi baadal chamka
KHalwat-e-husn ka har gosha musalsal chamka
jagmagati rahi jalwon se tere bazm-e-nigah
kabhi gesu kabhi 'ariz kabhi aanchal chamka
phuT nikli kabhi honThon se koi shoKH kiran
kabhi palkon ki ghani chhanw mein kajal chamka
sail-e-naghmat mein shab teri sada ka sho'la
kabhi ojhal hua ek pal kabhi ek pal chamka
gesu-e-shab ke mahakte hue sae ke tale
misl-e-aina tera jism jhala-jhal chamka
'zeb' naghmon ke charaghan mein kise hosh tha kal
ek sitara meri mizhgan pe musalsal chamka
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 93)
- Author :Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.