Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kha lete hain ghusse mein talwar kaTari kya

Mushafi Ghulam Hamdani

kha lete hain ghusse mein talwar kaTari kya

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    khā lete haiñ ġhusse meñ talvār kaTārī kyā

    ham log haiñ saudā.ī auqāt hamārī kyā

    bijlī se lipaT kar ham bhasamañt hue āḳhir

    us ko tire dāman samjhe the kanārī kyā

    juuñ sham.a sar-e-shab se maiñ rone ko baiThā huuñ

    āḳhir-e-shab dekhūñ dikhlā.e ye zaarī kyā

    ghabrā.ī jo phirtī hai is taur sabā har-sū

    aatī hai gulistāñ ko us gul savārī kyā

    ronā mirī āñkhoñ se jab tak ki na sīkhegā

    baiTh rovegā ai abar-e-bahārī kyā

    sote se to uThne do Tuk us ko sahar hote

    dekhoge ki machlegī vo chashm-e-ḳhumārī kyā

    nargis ḳhajil āñkheñ itnī to na thiiñ gaahe

    us chashm-e-mufattin se baazī koī haarī kyā

    auqāt mujarrad kis tarah basar hove

    jañgal hai ye biktī hai yaañ naan nahārī kyā

    ai 'mus.hafī' maiñ us ko jaan se go chāhā

    āḳhir ko huā hāsil juz-zillat-o-ḳhvārī kyā

    kha lete hain ghusse mein talwar kaTari kya

    hum log hain saudai auqat hamari kya

    bijli se lipaT kar hum bhasamant hue aaKHir

    us ko tere daman ki samjhe the kanari kya

    jun shama sar-e-shab se main rone ko baiTha hun

    ta aaKHir-e-shab dekhun dikhlae ye zari kya

    ghabrai jo phirti hai is taur saba har-su

    aati hai gulistan ko us gul ki sawari kya

    rona meri aankhon se jab tak ki na sikhega

    ja baiTh tu rowega ai abar-e-bahaari kya

    sote se to uThne do Tuk us ko sahar hote

    dekhoge ki machlegi wo chashm-e-KHumari kya

    nargis ki KHajil aankhen itni to na thin gahe

    us chashm-e-mufattin se bazi koi haari kya

    auqat mujarrad ki kis tarah basar howe

    jangal hai ye bikti hai yan nan nahaari kya

    ai 'mushafi' main us ko ji jaan se go chaha

    aaKHir ko hua hasil juz-zillat-o-KHwari kya

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(haftum) (Pg. 17)

    • Author: ghulaam hamdaanii mashafii
      • Edition: 2006
      • Publisher: qaumi council baraye -farogh urdu
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now