KHak mein kyun meri dastar milai hui hai
ḳhaak meñ kyuuñ mirī dastār milā.ī huī hai
maiñ ne izzat baḌī mushkil se kamā.ī huī hai
chāñd kāġhaz pe banānā hai abhī ek mujhe
abhī manzar meñ faqat jhiil banā.ī huī hai
titliyāñ roz hī aatī haiñ unheñ milne ko
kis kī ḳhushbū hai jo phūloñ ne churā.ī huī hai
jāgnā chāhtā huuñ der talak saath tire
merī āñkhoñ meñ magar niiñd jo aa.ī huī hai
aap tanqīd kareñ aap kā haq hai sāhab
ye ġhazal 'mīr' ko maiñ ne to sunā.ī huī hai
is ko dīvār pe maiñ kaise lagā duuñ 'ahmad'
ek tasvīr jo siine se lagā.ī huī hai
KHak mein kyun meri dastar milai hui hai
main ne izzat baDi mushkil se kamai hui hai
chand kaghaz pe banana hai abhi ek mujhe
abhi manzar mein faqat jhil banai hui hai
titliyan roz hi aati hain unhen milne ko
kis ki KHushbu hai jo phulon ne churai hui hai
jagna chahta hun der talak sath tere
meri aankhon mein magar nind jo aai hui hai
aap tanqid karen aap ka haq hai sahab
ye ghazal 'mir' ko main ne to sunai hui hai
is ko diwar pe main kaise laga dun 'ahmad'
ek taswir jo sine se lagai hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.