KHak se mil kar sada-e-Khaar-o-KHas puri hui
ḳhaak se mil kar sadā-e-ḳhār-o-ḳhas puurī huī
maiñ adhūrā rah gayā lekin havas puurī huī
ret se duniyā banāne meñ bikhar kar rah gayā
har ghaḌī ehsās hotā thā ki bas puurī huī
chand barsoñ kī rifāqat chand lamhoñ ke 'azāb
ye hadīs-e-dilbarī ab ke baras puurī huī
aisī tārīkī mayassar thī ki dil raushan huā
aisī ḳhāmoshī ki tahzīb-e-qafas puurī huī
sāya-e-gul meñ guzārī lamha-lamha zindagī
dar-haqīqat ārzū-e-pesh-o-pas puurī huī
KHak se mil kar sada-e-KHar-o-KHas puri hui
main adhura rah gaya lekin hawas puri hui
ret se duniya banane mein bikhar kar rah gaya
har ghaDi ehsas hota tha ki bas puri hui
chand barson ki rifaqat chand lamhon ke 'azab
ye hadis-e-dilbari ab ke baras puri hui
aisi tariki mayassar thi ki dil raushan hua
aisi KHamoshi ki tahzib-e-qafas puri hui
saya-e-gul mein guzari lamha-lamha zindagi
dar-haqiqat aarzu-e-pesh-o-pas puri hui
- Book : Ishq (Pg. 88)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.