Khaali hua hi tha ki khanakne laga badan
ḳhālī huā hī thā ki khanakne lagā badan
phir hijr ke nashe meñ bahakne lagā badan
ye 'itr-vitr kyā hai kisī dil-nashīñ ke saath
do ek pal ruke the mahakne lagā badan
shāḳh-e-visāl par thī na.ī ḳhvāhishoñ kī dhuup
saiqal huā to aur chamakne lagā badan
patthar samajh ke us ko gale to lagā liyā
andar vo aag thī ki chhalakne lagā badan
is mas.ale kā hal bhī to hogā tumhāre paas
gar dil ke saath saath dhaḌakne lagā badan
KHali hua hi tha ki khanakne laga badan
phir hijr ke nashe mein bahakne laga badan
ye 'itr-witr kya hai kisi dil-nashin ke sath
do ek pal ruke the mahakne laga badan
shaKH-e-visal par thi nai KHwahishon ki dhup
saiqal hua to aur chamakne laga badan
patthar samajh ke us ko gale to laga liya
andar wo aag thi ki chhalakne laga badan
is masale ka hal bhi to hoga tumhaare pas
gar dil ke sath sath dhaDakne laga badan
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 96)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.