Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamosh jhil mein koi kankar gira nahin

Adil Hayat

KHamosh jhil mein koi kankar gira nahin

Adil Hayat

MORE BYAdil Hayat

    ḳhāmosh jhiil meñ koī kankar girā nahīñ

    lahroñ zindagī meñ mirī silsila nahīñ

    bādal tarah āñkheñ barastī rahīñ magar

    shādāb phir bhī barg-e-mohabbat huā nahīñ

    makḌī ne us āñkhoñ pe jaale lagā diye

    muddat se intizār uqda khulā nahīñ

    raushan huī hayāt kisī ke ḳhayāl se

    yuuñ to charāġh ghar meñ hamāre jalā nahīñ

    maazī bhī mahv-e-ḳhvāb huā kab dosto

    mustaqbil-e-qarīb bhī dar khulā nahīñ

    ye mausam-e-umīd bhī kab guzar gayā

    'ādil' shajar pe aas ik phal lagā nahīñ

    KHamosh jhil mein koi kankar gira nahin

    lahron ka zindagi mein meri silsila nahin

    baadal ki tarah aankhen barasti rahin magar

    shadab phir bhi barg-e-mohabbat hua nahin

    makDi ne us ki aankhon pe jale laga diye

    muddat se intizar ka uqda khula nahin

    raushan hui hayat kisi ke KHayal se

    yun to charagh ghar mein hamare jala nahin

    mazi bhi mahw-e-KHwab hua kab ka dosto

    mustaqbil-e-qarib ka bhi dar khula nahin

    ye mausam-e-umid bhi kab ka guzar gaya

    'adil' shajar pe aas ka ek phal laga nahin

    Source:

    Sitara Sang (Pg. 61)

    • Author: Adil Hayat
      • Publisher: Nirali Duniya Publications, New Delhi
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now