Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHana-ba-dosh rahne ki aadat nahin gai

Sufia Anjum Taj

KHana-ba-dosh rahne ki aadat nahin gai

Sufia Anjum Taj

MORE BYSufia Anjum Taj

    ḳhāna-ba-dosh rahne aadat nahīñ ga.ī

    insāñ ke dil se ḳhvāhish-e-hijrat nahīñ ga.ī

    dar dar ḳhaak chhān rahe haiñ abhī talak

    dil se hayāt-āshnā vahshat nahīñ ga.ī

    kuchh pur-ḳhulūs dost mayassar haiñ is liye

    āñkhoñ se ḳhush-gumānī aadat nahīñ ga.ī

    jab tak nafas meñ sabr-o-qanā.at the ḳhema-zan

    ghar se hamāre rizq barakat nahīñ ga.ī

    lamha-ba-lamha TūTte rahne ke bāvajūd

    kohsār-e-ḳhush-jamāl rif.at nahīñ ga.ī

    sad-shukr sun rahā huuñ maiñ ab bhī sadā-e-vaqt

    is shor meñ bhī merī samā.at nahīñ ga.ī

    murjhā gayā kitāb meñ rakkhā huā ye phuul

    lekin hanūz is latāfat nahīñ ga.ī

    dāmān-e-chashm-e-shauq lahū se hai tar-ba-tar

    āñkhoñ se phir bhī ḳhvāb chāhat nahīñ ga.ī

    pagḌī batā rahī hai ki sar par ġhurūr se

    kotāh-qāmatī alāmat nahīñ ga.ī

    us ko zamīñ bhī chāhiye vo bhī kafan ke saath

    mar kar bhī aadmī zarūrat nahīñ ga.ī

    is baar sail-e-ashk-e-nadāmat ke saath 'rāz'

    āñkhoñ se raushnī-e-nadāmat nahīñ ga.ī

    KHana-ba-dosh rahne ki aadat nahin gai

    insan ke dil se KHwahish-e-hijrat nahin gai

    dar dar ki KHak chhan rahe hain abhi talak

    dil se hayat-ashna wahshat nahin gai

    kuchh pur-KHulus dost mayassar hain is liye

    aankhon se KHush-gumani ki aadat nahin gai

    jab tak nafas mein sabr-o-qanaat the KHema-zan

    ghar se hamare rizq ki barakat nahin gai

    lamha-ba-lamha TuTte rahne ke bawajud

    kohsar-e-KHush-jamal ki rifat nahin gai

    sad-shukr sun raha hun main ab bhi sada-e-waqt

    is shor mein bhi meri samaat nahin gai

    murjha gaya kitab mein rakkha hua ye phul

    lekin hanuz is ki latafat nahin gai

    daman-e-chashm-e-shauq lahu se hai tar-ba-tar

    aankhon se phir bhi KHwab ki chahat nahin gai

    pagDi bata rahi hai ki sar par ghurur se

    kotah-qamati ki alamat nahin gai

    us ko zamin bhi chahiye wo bhi kafan ke sath

    mar kar bhi aadmi ki zarurat nahin gai

    is bar sail-e-ashk-e-nadamat ke sath 'raaz'

    aankhon se raushni-e-nadamat nahin gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now