Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHana-e-dil mein tera aks bana rakha hai

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

KHana-e-dil mein tera aks bana rakha hai

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    ḳhāna-e-dil meñ terā aks banā rakhā hai

    ham ne tasvīr ko shīshe meñ sajā rakhā hai

    jis chāhe chalā aa.e hamāre ghar meñ

    ham ne is vāste darvāza khulā rakhā hai

    sham.a gul kar do nahīñ is zarūrat ham ne

    dil-e-pur-nūr se aivān sajā rakhā hai

    us ke jalvoñ ko kiyā dair-o-haram tak mahdūd

    ahl-e-duniyā ne ye kyā svāñg rachā rakhā hai

    tum bhī kah lo mujhe jo dil meñ tumhāre aa.e

    vaise kyā kahne ko duniyā ne uThā rakhā hai

    koī paḌh le na tire naam paiġhām un meñ

    ham ne is Dar se nigāhoñ ko jhukā rakhā hai

    yuuñ kuchh kam na the dīvāne ki ab aur hameñ

    aap ke husn ne dīvāna banā rakhā hai

    dard bechain hai siine meñ magar ham ne 'nazar'

    dard chīḳh ko aahoñ meñ dabā rakhā hai

    KHana-e-dil mein tera aks bana rakha hai

    hum ne taswir ko shishe mein saja rakha hai

    jis ka ji chahe chala aae hamare ghar mein

    hum ne is waste darwaza khula rakha hai

    shama gul kar do nahin is ki zarurat hum ne

    dil-e-pur-nur se aiwan saja rakha hai

    us ke jalwon ko kiya dair-o-haram tak mahdud

    ahl-e-duniya ne ye kya swang racha rakha hai

    tum bhi kah lo mujhe jo dil mein tumhaare aae

    waise kya kahne ko duniya ne uTha rakha hai

    koi paDh le na tere nam ka paigham un mein

    hum ne is Dar se nigahon ko jhuka rakha hai

    yun hi kuchh kam na the diwane ki ab aur hamein

    aap ke husn ne diwana bana rakha hai

    dard bechain hai sine mein magar hum ne 'nazar'

    dard ki chiKH ko aahon mein daba rakha hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now