Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHanon mein KHud hi baT ke ab insan rah gaya

Nayyar Qureshi Gangohi

KHanon mein KHud hi baT ke ab insan rah gaya

Nayyar Qureshi Gangohi

MORE BYNayyar Qureshi Gangohi

    ḳhānoñ meñ ḳhud baT ke ab insān rah gayā

    dekhā jab apnā hashr pareshān rah gayā

    purkhoñ shāndār havelī zikr chhoḌ

    ābād kar khañDar ko jo vīrān rah gayā

    gard-e-safar meñ phuul se chehre utar ga.e

    ā.īna un ko dekh ke hairān rah gayā

    dil bhar gayā hai apnā masāfat ke shauq meñ

    manzil hai duur rasta bhī sunsān rah gayā

    ham jāgte the madd-e-muqābil rahe magar

    ḳhāmosh inqalāb thā tūfān rah gayā

    kis ne diyā thā sulh-o-safā.ī mashvara

    bastī meñ ho ke jañg elaan rah gayā

    qismat hai zavāl ki mehnat hai kamī

    ham ne kiyā jo kaam bhī nuqsān rah gayā

    ham ne diyā thā ḳhuun bhī us ke liye magar

    vo mar gayā ġharīb ehsān rah gayā

    'nayyar' ne sādgī se guzārī hai zindagī

    makkāriyoñ se apnoñ anjān rah gayā

    KHanon mein KHud hi baT ke ab insan rah gaya

    dekha jab apna hashr pareshan rah gaya

    purkhon ki shandar haweli ka zikr chhoD

    aabaad kar khanDar ko jo viran rah gaya

    gard-e-safar mein phul se chehre utar gae

    aaina un ko dekh ke hairan rah gaya

    dil bhar gaya hai apna masafat ke shauq mein

    manzil hai dur rasta bhi sunsan rah gaya

    hum jagte the madd-e-muqabil rahe magar

    KHamosh inqalab tha tufan rah gaya

    kis ne diya tha sulh-o-safai ka mashwara

    basti mein ho ke jang ka elan rah gaya

    qismat ka hai zawal ki mehnat ki hai kami

    hum ne kiya jo kaam bhi nuqsan rah gaya

    hum ne diya tha KHun bhi us ke liye magar

    wo mar gaya gharib ka ehsan rah gaya

    'nayyar' ne sadgi se guzari hai zindagi

    makkariyon se apnon ki anjaan rah gaya

    Source:

    Takallum (Pg. B-23 E-22)

    • Author: Nayyar Qureshi Gangohi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Nayyar Qureshi Gangohi
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now