Khaar-o-KHas to uThen rasta to chale
ḳhār-o-ḳhas to uTheñ rāsta to chale
maiñ agar thak gayā qāfila to chale
chāñd sūraj buzurgoñ ke naqsh-e-qadam
ḳhair bujhne do un ko havā to chale
hākim-e-shahr ye bhī koī shahr hai
masjideñ band haiñ mai-kada to chale
us ko maz.hab kaho yā siyāsat kaho
ḳhud-kushī kā hunar tum sikhā to chale
itnī lāsheñ maiñ kaise uThā pā.ūñgā
aap īñToñ kī hurmat bachā to chale
belche laao kholo zamīñ kī taheñ
maiñ kahāñ dafn huuñ kuchh patā to chale
KHar-o-KHas to uThen rasta to chale
main agar thak gaya qafila to chale
chand suraj buzurgon ke naqsh-e-qadam
KHair bujhne do un ko hawa to chale
hakim-e-shahr ye bhi koi shahr hai
masjiden band hain mai-kada to chale
us ko mazhab kaho ya siyasat kaho
KHud-kushi ka hunar tum sikha to chale
itni lashen main kaise uTha paunga
aap inTon ki hurmat bacha to chale
belche lao kholo zamin ki tahen
main kahan dafn hun kuchh pata to chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.